Choti Choti Baatein …

Somehow, the poems that I wrote in maximum 5 minutes are the ones I like the most from all my work. This too is one of them. Inspiration credits at the end πŸ™‚

Logon ki zindagi mein, jaane kya kya ho jaata hai
Hum choti choti baaton pe rote hain

Koi raat raat bhar, bhooke pet so jaata hai
Hum namak kamm hone pe rote hain

Koi taaron ke saaye mein, zindagi bitata hai
Hum dewaaron ke rangon pe rote hain

Kisi ke paas tan dhaapne ko kuch bhi nahi hai
Hum bhari almaari dekh kar ‘Kapde nahi hai’ kehte hainΒ 

Koi padhne ko school jaane ko, zindagi bhar taras jaata hai
Hum padhne ke naam se rote hain

Koi shikshak naa milne par, khud hee padh likh jaata hai
Hum marks, exams aur teachers ko sirf gaaliyaan dete hain

Koi baarish ke paani mein nach kar, dil ki pyaas bujhaata hai
Hum keechad ko dekh rote hain

Kisi ke paas apna kehne ko koi nahi hai
Hum pal bhar ke rishton pe rote hain

Kisi ke paas zindagi ke naam pe kuch nahi, fir bhi woh hansta hai
Hum hazaar khushiyon ke beech, chote se dukh pe rote hain

Logo ki zindagi mein, jaane kya kya ho jaata hai
Hum choti choti baaton pe rote hain … Β 


Inspiration credits : All those people who keep crying on their FB statuses πŸ˜›

2 thoughts on “Choti Choti Baatein …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *